Monday, March 3, 2008

gar mil jae kahin

pare khadi thi wo per , dikhti rahi jab tak jhalak,
nazarein bhi diwani hokar, takti rahi tab talak .....

aisa kuch ho gaya numayaan ,
pal main dil ho gaya paraaya...

ojhal hui jo nainan se , de gayi mujhko ek kasak,
hulchul si mach gayi tanman main, jab kar gayi wo bekas...

paaye uske jab se deed ,
gum ho gayi aankhon se neend...

sannaate main dekh chand ko , raaton bhar hai socha usko ,
ujiyaale main aaftab ke , laakhon main hai khoja usko....

dikha nahi jab wo chehra,
laga jahaan jaise ek sehra..

ab bhi aas lagi hai mujhko ,
barish ki jaise peehu ko...

mil jae gar kahin , roshan ho dil ka chaman ,
phoolon ki bocharein hongi, mahak uthega yeh jeevan....



some words for clarification :

numaayaan :
observable , kasak : pain(of love) , bekas :lonely

deed :
vision , aaftab : sun , jahaan: world , sehra : desert













3 comments:

Saurabh Ektare said...

writing buddy..... u r doing gr8....
dis 1 wz much bettr thn d last 2...
cheers!!!

Greva said...

gr88... real good work..
keep on posting!!!

Anjul said...

good work!!