na samjho yoon tanhaai main , thakti aankhon se kuch khoj raha hoon ,
guzra jo maa ke saaye main , wo apna sa pal soch raha hoon...
nidar hokar nikla ghar se , jab jab mein der se aaya tha,
takte takte raahein tab maa ne , khud ko muntazir banaya tha...woh apna sa pal....
ojhal ho nainan se maa ki jab, mein maati khakar aaya tha,
ma-ma kahta kuch liye muuh , kuch liye haath main , use khilane laaya tha.... woh apna sa pal...
naaraji se papa ki meine , jab aankhon ko chalkaaya tha ,
ponch ponch haathon se aur choom choom tab maa ne ,geeley gaalon ko sukhaaya tha..woh apna sa pal......
jaadon main sooraj ki dhoop, jo kaaya ko tapaati thi ,
kuch raahat pahunchaane tab mujhko , maa chaaya ban jaati thi ...woh apna sa pal....
chat per lete garmi ki un raaton main , jab hawaaein. tan ko kapkapaati thi,
aanchal hi chadar bana tab ,maa mujhko udhaati thi...woh apna sa pal....
bairi raat dara jo mujhko, neend chura le jaati thi,
maa tab kuch gaa-kuch gungunakar, chain ki neend sulaati thi...woh neend bhare pal ...
waqt is jeevan ka jo, maa ne khushhaal banaaya tha ,
bachpan tha mera woh, jo kal sapne main aaya tha...
woh bachpan ke pal soch raha hoon...
word for clarification: muntazir: one who waits...
Tuesday, April 22, 2008
Thursday, March 13, 2008
ab chaah nahi hai koi....
nindiya se lamhe churakar, farda hum jagte rahe ,
chitthiyaan chahat ko banakar, tanha hum likhte rahe..
thak gayi thi aankhein itna ki, inko to ab sona tha , par soti kaise..
haathon ko kaagajrupi is dhage main ,moti jo pirona tha..
chah samaye kuch mann me, chanda chilman se jhaank raha tha,
baanh pasare andhiyaare me, sannaata bhi jaag raha tha..
hawaayon ne mastani hokar, jab-jab darwaaza hilaaya,
sehma dil aur tham gayi saansein, lagta tab jaise koi aaya..
aashna ko soch-soch kar, raat guzar gayi khayaalaat ki,
aankhon me ummeedein lekar, aaj sehar aayi mulaakat ki..
lafzon ne jab khat me dhalkar, chaahat ka paigaam diya,
nazron ne uski tab jhukkar, raaz-e-dil ko bayaan kiya..
hokar baatein kuch pyaari, afsaano si pal rahi thi,
paakar chaahat ho nyaari, tanhaai bhi dhal rahi thi..
pyaar k deepon se usne, munavvar kiya hai jo is dil ko,
ab darkaar nahi hai koi, sukoon mila hai har pal ko..
some words for clarification:
farda :yesterday , aashna:beloved or name (but in this used aashna as a beloved), sehar:morning
munavvar :illuminate , darkaar: wish

Monday, March 3, 2008
gar mil jae kahin
pare khadi thi wo per , dikhti rahi jab tak jhalak,
nazarein bhi diwani hokar, takti rahi tab talak .....
aisa kuch ho gaya numayaan ,
pal main dil ho gaya paraaya...
ojhal hui jo nainan se , de gayi mujhko ek kasak,
hulchul si mach gayi tanman main, jab kar gayi wo bekas...
paaye uske jab se deed ,
gum ho gayi aankhon se neend...
sannaate main dekh chand ko , raaton bhar hai socha usko ,
ujiyaale main aaftab ke , laakhon main hai khoja usko....
dikha nahi jab wo chehra,
laga jahaan jaise ek sehra..
ab bhi aas lagi hai mujhko ,
barish ki jaise peehu ko...
mil jae gar kahin , roshan ho dil ka chaman ,
phoolon ki bocharein hongi, mahak uthega yeh jeevan....
some words for clarification :
numaayaan : observable , kasak : pain(of love) , bekas :lonely
deed : vision , aaftab : sun , jahaan: world , sehra : desert

Sunday, February 24, 2008
TERI CHAHAT
jab sehan main, pakhshiyon ki chahchahahat hoti hai,
tab zehan main, tere aane ki aahat hoti hai.......
saawan main koyal jab, malhaarein gaati hai,
kaanan main mere tab, teri awazein aati hain.
bhanware karte hain ,jo gunjan,
paayal ki hoti hai chanchan..
yeh....teri mast nazar ka, jadoo hai,
jo khud per na koi, kaboo hai..
yaadon ki bocharon se, jab palkein bheegi hoti hain,
aise main ye narm hawaaein,chooke tera anchal, jo meri palkon se takraein,
furqat main teri, tab in aankhon ko rahat hoti hai..
roobaroo jo chashm ke ,tu aayton main hoti hai ,
kashmkash hota hai dil, aur teri chahat hoti hai...
some words for clarification :
sehan: veranda , furqat: absence ,
chashm: eye , kashmkash : in trouble

Friday, February 22, 2008
kah do
jhoote is jeevan kisson ki koi sahi baat tum kah do,
paani ko doodh nahi toh paani ko paani tum kah do,
rishton ki is jod tod main,jeevan saara beet gaya,
dil ka rishta faqat sachha, baaki jhoot hai tum kah do.
haar gaya sansaar, pyar ki paribhasha kahte har baar,
pyaar kaho radha ko toh deewani meera tum kah do,
ranjha-heer sohni-mahiwaal ishq ke kisse bahut sune,
pyaar bhagini ka,vatsal maa ka....
in shabdon ke arth tum kah do.
shastron avam upnishadon ne man ko itna daba diya,
man halka karne kuch boodhon ki shaitani tum kah do,
baanto dukh parayon ke, ponchho unke aansoo tum,
peer parayi ho doojon se, kuch aisi khusiyaan tum kah do...
some words for clarification-
faqat- kewal
vatsal- mamta
peer- dard

Subscribe to:
Posts (Atom)